sapna kya hai hume nahi pata
kyunki sapne ko dekhne ki himmat
humme nahi hai,
zindagi ko humne khub pehchan liya hai
isme jab thore se pal ki
khusiya nasib nahi hai
to sapno ka kya hoga
waise bhi sapno mai kuch dikhta bhi nahi hai
bas do pal ki tazgi mil jaati hai
asal zindagi se
par kya itna muskil hai
sapno ko dekhna aur paana
humne to socha bhi nahi kabhi
humko kya paana hai
kyunki sochte to woh hai
jinko azaadi ho sochne ki
hume to bas chalte jaana hai
jo bhi mile raaste
aur jab chalte chalte thak jaayenge
to thamne ke liye bhi koi nahi hoga
kyunki zindagi itni hasin nahi hai hamari
hume na to kissi ka
sahara mila , na milega
ha bas ek dwand rahega ki
humne hasrat nahi ki
kuch paane ki bas isiliye kabhi
sapne dekhne ki himmat kar bhi le
par sapno mai dikhega bhi to wahi
ek kaali raat usme ek lamba raasta aur door door tak koi nahi
bas hume chalte jaana hai uspe
manzil ko bina pehchane
kaas hamein yeh to pata hota
hum jaa kaha rahe hai
par hume to woh bhi nasib nahi
bas chalte jaana hai
anzaane raasto par bas chalte jaana hai
No comments:
Post a Comment