Tuesday, December 21, 2010

Manzil se takrana

sach jise manzil socha woh to dhoka nikla
kach ka ghar tha humne chamakta hira socha,
kaas jaan paate aisa dhoka hoga hoga
to sambhal paate girne se pehle,

ab to sambhal na hi muskil hai
kach ke ghar se takra ke
pero mai daraare jo par gayi hai
ab to chalna hi muskil ho gaya hai,

par kya hua daraare hi to hai
kabhi na kabhi to bahrengi
tab phir se chalungi
nahi ruukungi tab,

sayad jindagi ka paigaam yahi hai
chalte raho raahon mai
girna sabhalna to jindagi hai
bas hume chalte he jaana hai