Saturday, December 14, 2013

Life for me

Sometimes I think that is life is very rude to me for special reason or it is same for everyone.
In the same instant I get a sense that Kohinoor gets special treatment for becoming Kohinoor.
In the same manner I am getting special treatment from Life to become Kohinnor.
Now seems people are not understanding my value as I am just come out from the ground.
But one day I will be in the place where I will be getting the special traetment from life in a manner of
Happiness and honour. That moment will be paid off as all my special treatments which I got from lovely life.Waiting for the moment and enjoying the rough and rude treatment of life for that coming pals only
Thak na pathik tu raaste main kabhi, Gir ke apne se uthna sikhna,
Jo log raaste main nahi chalte , woh na kabhi girte hai Na thokar khaate hai
Manzil par bhi jaldi pahuchte hai ,
Par pathik tu na darna kyonki jo raaste main nahi chalte
Unhe kya pata raaste main chalne main  kitna maaza aata hai
Kitni baris ke chano ka anubhav hota hai,
Kitni pyaari chiriyo ki surili awwaz sunne ko milti hai,
Kitne adbhut azzeb par prakrtik anubhuti hoti hai
Sayad bina chale en prakrtik anubhutio lena muskil hota
Hum to yahi sochke khush ho jaate hai
Ki humne kitni yaatnaye seh ke bhi appna raasta nahi chora
Bhale logo ne humara saath chora dorne ke liye
Par humne apni jindagi apni saarto pe chali
Ajj bhi intjaar hai kisi ka
Jo de mera saath de in raasto ki dooriya tai karne mai
Na ki doorne mai
Mujhe chalna hai in raasto mai
Janna hai bahut door jaha par koi manzil ho
Koi rahi ho na ho par tai karni hai doori woh bhi chalte hue
Intezaar kabhi to khatm hoga koi to milega meri tarha sochne wala
Meri in raaho mai mere saath chalne wala,
Chalo karungi intzaar tab tak saath dena ke liye
raasto ke kanakar patthar to hai
Ko beech beech mai anubhuti karade ke mujhe chalne hai
Sirf chalna