Wednesday, October 31, 2012

E Kaas

E kaas ke hum robot hote
na koi ehsaas hota na koi dard,
to sayad duniya ke dhoko se
khud ko samhal lete,
e kaas ki hum panchi hote
to har samay asshiyana badal te rehte,
e kaas hum Bhagwaan hote
to sayad logo ki dil ki baat jaan pate
ish duniya mai logo ko itni
jaldi apni baat se mukarne na dete.
par nahi, hu to main Insaan
duniya ki sabse nimn shrani ka praani
so bhogna parega ish jindagi ko
par sochti hu
kyo na robot ki tarha jiyu.

kuch to hai

Man kar raha hai Kuch kar.Jau
Nahi pata kya kar jau
kuch to hai jo man abhiwyaqt nahi kar pa raha
pyaar to nahi jo hame ho ja raha
nahi nahi aisa ho nahi sakta
hume kisi se lagao ho nahi sakta
pyaar hum kisi se karte nahi
hum hai jo kisi pe marte nahi
kaas apna bhi koi pyaara hota
sapno se bhi koi nyaara hota
hum kisi pe apni jaan dete
aur koi humara hota.

Saturday, October 27, 2012

Maa

Maa sabd ka arth ab samajh mai aaya
jab tu nahi hai maa
Tera pyaar karna ab samajh main aaya
jab tu nahin hai maa
Tere haath ka khana ab yaad aaya
jab tu nahin hai Maa
Hum Samajh hi nahin paaya
kab tu jayegi Maa
Pata hota to rok lete
Maa,Maa,Maa,Maa,Maa
Bahut din se likha nahin na Maa sabd
so ajj likhne ka bara man kar raha hai Maa
Tum hoti to maayne badal te jindagi ke Maa
ajj hum jitna dukhi hai utna khush hote Maa
ek baar tum aoona Maa
phir hase phir roye
phir appki sewa kare Maa
Phir meri gari mai tum jor se charna
mujhe aur meri gari ko jhatke se  hilana
aur kehna, aree pao phisal gaya tha
phir dusri baar halke se baithna aur pyaar se kehna
baith gayi beta ab chalaa
aur mera hashna
phir tera darna koi bhi dost ke samne baat karte hue
ke kuch galat na nikle muh se
koi raaz na bayan jo jaye muuh se
Maa Maa Maa Maa Maa
bahut yaad aati hai Maa
Chal ab aa jao Maa
nahi reh sakte hum tere Bina

Kuch pal ka hasna, kuch pal ka rona

Kuch kehta kehte Jabban tham jaati hai.
dharakte dharkae dil ruk jaata hai
e kaas hum bhi ruk gaye hote kahin
par kya kare sahin samay main
dharkane chal jaati hai.
saath hi nahii chorti mera.
kehate hai na jab nasib main nahi hota kuch
to woh jitni bhi kosis karlo nahin milta
agar sach main nasib hai to kyo kehte hai ki
kosish karne walo ki haar nahhi hoti
Duniya ki reet ko nai samjhi mai
na samjhungi par itna pata hai
sayad hamare haath mai kuch nahi hota
bas appne ko chala sakte hai
rokne wala to koi or hota hai
bas appne ko charam sima tak
prayaas kara sakte hai
prayas safal karne wala to koi or hota hai
hum to ek kath putli hai
chor diya to gir jayenge
haath mai rahe to nachte rahenge
jo bhi hai accha hai yeh nachna
Kuch pal ka hasna kuch pal ka rona

Thursday, June 14, 2012

Jindagi ke bhir mai itne akele ho jayenge socha nahi tha. Dost hi reh jayenge sirf jindagi mai socha nahi tha. Pyaar to karna bhul gaye khuda ke dar se. jise chahte hai dekhte hai khafa ho jata hai rab ussi se. Khushi to ish baat ki hai dosto se khafa nahi hai khuda ab tak mera . Kya dost wakai apne hai ya khuda bhul gaya unko chhin na mujhse