Chalo khusi ne apni dastak to di
aahat sunte sunte saadiya guzar gayi,
ab jakar khusi ne apna daman mere haath mai thamaya hai
pyaar to nahi diya par
chalo apna ahsaas to karaya hai,
par hai tune yeh kya kiya
apne saath phir kyo gum ko
chupa liya
mujhe gum se pyaar ho gaya hai
ab mai gam ke bina reh nahi sakti
sayad isliye tujhe aane ki izzazat mili
khuda bhi zaanta hai
mujhe ek pal ki khusi na dena hai
isliye to sayad khusi ko aane ka ahssas hua hai
aaj baris khushiyo ki nahi hui hai
phir se kisi ne mujhe aaj daga diya hai
jab pyaar hua gam se
to gum bhi nasib na hua hai
isi ko kehte hai sayad nasseb
jo humko kabhi mukkamal hi nahi hua hai