Saturday, October 27, 2012

Kuch pal ka hasna, kuch pal ka rona

Kuch kehta kehte Jabban tham jaati hai.
dharakte dharkae dil ruk jaata hai
e kaas hum bhi ruk gaye hote kahin
par kya kare sahin samay main
dharkane chal jaati hai.
saath hi nahii chorti mera.
kehate hai na jab nasib main nahi hota kuch
to woh jitni bhi kosis karlo nahin milta
agar sach main nasib hai to kyo kehte hai ki
kosish karne walo ki haar nahhi hoti
Duniya ki reet ko nai samjhi mai
na samjhungi par itna pata hai
sayad hamare haath mai kuch nahi hota
bas appne ko chala sakte hai
rokne wala to koi or hota hai
bas appne ko charam sima tak
prayaas kara sakte hai
prayas safal karne wala to koi or hota hai
hum to ek kath putli hai
chor diya to gir jayenge
haath mai rahe to nachte rahenge
jo bhi hai accha hai yeh nachna
Kuch pal ka hasna kuch pal ka rona

No comments:

Post a Comment