Wednesday, October 31, 2012

E Kaas

E kaas ke hum robot hote
na koi ehsaas hota na koi dard,
to sayad duniya ke dhoko se
khud ko samhal lete,
e kaas ki hum panchi hote
to har samay asshiyana badal te rehte,
e kaas hum Bhagwaan hote
to sayad logo ki dil ki baat jaan pate
ish duniya mai logo ko itni
jaldi apni baat se mukarne na dete.
par nahi, hu to main Insaan
duniya ki sabse nimn shrani ka praani
so bhogna parega ish jindagi ko
par sochti hu
kyo na robot ki tarha jiyu.

1 comment: