Tuesday, October 12, 2010

sahara

sahara dhoondte dhoondte jindagi nikal gayi
kabhi socha hi nahi hum bhi apne
pero par khare ho sakte hai
aur jab socha to khare hone ki himmat hi chali gayi
pata nahi kyo humne jindagi aise bita di
hum jab sochte hai to lagta hai
kaas hum phir se jindagi ko shuruyat kar paate,
to jindagi badal jaati
din to chale gaaye ab mujhe raat ko badalna hai
so badal dalungi raat ko
sayad din phir se aa jaye
aake hume apne saathh le jaaye
 wahi manzil ke paas jiski hume talaash hai
isliye ab humne saahare dhoondna band kar diye
ab hum khud khare hone ka prayaas kar rahe hai
sayad samay lagega
par hoonge jaruur khare pero par apne

1 comment: