Sunday, October 24, 2010

MUJHE JINE DO


Maine kab kaha mujhe swarg sukh chahiye
maine kab kaha mujhe har waastu chahiye
bas apni jindagi jina chahti huun
mujhe jine do use purna tarike se
mujhe chor do
mat jakro jaanjiro mai
mujhe jine ka ek mauka to do
mai nahi kar sakti phir se nayi suruaat
jo mila tha use jine to do

maine jyaada kuch nahi maanga   jindagi se
bas jo haasil kiya use paane to do
kya itni buri jindagi hai meri
ki paane ke baad bhi khona pare
bas mujhe kuch nahi chahiye jindagi tujhse
bas mera khoya samaan lota do
warna jindagi mai kuch aisa kar do
ki humein aur jindagi ki tamanna hi nahi rahe
aur tu  jindagi bas khush rahe

1 comment: