Saturday, March 8, 2014

I miss you mummy

Har itwaar bahut yaad aati hai tu,
Har sombaar bahut yaad atti hai tu
Har mangalwarr bahit yaad atti hai tu,
Har budhwaar bahit yaad atti hai tu
Har Braspatiwaar bhi bahut yaad atti hai tu
Kya kahu kitna yaad atti hai tu,
Har pal kitna tarpaati hai tu
Jaana tha to saath le jaati mujhe bhii tu
Isse to kam tarapti main
Jab mujhe bahut jarrurat hai teri
Tabhi na paaya tujhko maine
Jab mujhe teri kadr ayyi
Tu ekkant ko pyaari ho gayi
Maa sabd ka arrth ayya tha samajh abhi
Abhi to dekhe the sapne maine
Urne se pehle kutar diye par tune mere
Chalne se pehle bandh diye per mere
Ab kya chalu kya uru
Tujhe to kuch chinta hi nahi meri
Itna seh kar bhi har pal annkhen dhoondti hai tujhe
Tere ek pyaar ko tarsti hai baahen meri
Kitne din ho gaye kissi se pyaar se baatein nahi ki
Kisi ke hasne se haasi nahi ayyi
Ab to baat karte hi dar lagta hai
Kahin Ankhen na jhalak aaye kahin assun na aa jaaye

No comments:

Post a Comment